mughal@citiago.bitnet (Asim Mughal) (03/21/91)
Following is the complete text of Prime Minister's address to Naiton on Sunday 17 march 1991 over radio and TV at 1915 PST. I am not a prfessional translator, therefore text is reproduced as it is in Urdu. (BTW Ramazan 1411H moon was sighted the same evening in Pakistan.) ==================================================================== Bismiallahirrahmannirahim Mayray Aziz Humwatno | Assalamoalikum | Ramazan-ul-Mubarak ka muqaddas mahina apko mubarak ho. Guzashta chand haftoon kay dauraan Iraq aur Kuawait kay Muslman Bhaiyoon par jo qiyamat guzree, uus par hum sab kay dil khoon kay ansoon ro rahay hain. Mera dukh to aur bhee ziyada hay. Main nay akhri lamhay tak yeh jidojayhad ki kayh baygunah Musalman aag aur barood ki lapayt main na ayain. Mayri poori koshish thee kayh jo kuch bhee tabah kari say mahfuz rah gaya hay, uus ko barbadi say bacha liya jaye. Mujhay barray dukh kay saath kahna parta hay kah ham tabahi ko intaha tak janay say naheen rok sakay. Tabahi sirf Iraq aur Kuwait kay musalmannon par hi naheen ayi balkay jo sanayha uun par guzra hay is kay nataij sari dunya kay musalmanoon ko bhogtana parain gay. Meri nazar main Khaleej ki jang ka sab say bara nuqsaan milet-e-islamiya kay ittehad ko puhcha hay. Is say bara almiyah aur kiya ho sakta hay kayh aik musalman doosray musalman kay liye azar ka ziriya banay. Umat-e-musalmah kay ittehad aur bahmi akhuwat par jo kari zarbain lag chukee hain uun kay zakham bharnay ki radeed, ab hum sab ka awleen farz hay. Zarurat is bat ki hay kayh jald say jald apas ki nafratain aur kadoortain door ki jain. Kiyun kayh bil-akhar bhai hi bhaiyoon kay kaam atay hain. Main apnay mission kay dauran baad-az-jang paysh anay walay Halaat kay baray main bhee tabadlaye khayal karta raha hoon. Magar yaqeen karain kayh hum itni barri tabbahi kay liye tayyar naheen thay. Kuwait aur Iraq ka yeh nuqsaan islami dunya ka nuqsaan hay. is say pahlay Iran ka nuqsaan bhee Islami dunya ka hi nuqsaan tha. Kash ab bhi musalmanoon ko hosh ajay aur hum apnay islami rishtoon ki bunyaad par koyi ijtamayi idara qaim karnay main kamyab ho jayain. Aziz Humwatno | Hum Fahm-o-frasat, tadabur aur islami iqdar ki taqat kay zariyeh hi apnay kirdar ko moassar bana saktay hain. Khaleej ki jang kay dauran hum nay is ka amli muzahira bhee kiya hay. Main apnay qablay-ihtram siyasatdan bazurgoon aur bhaiyoon say guzarish karoon ga kayh wo is naye almi kirdar ko samjhnay ki koshish karain. Hamaray in muhtaram sayasatdanoon nay awam kay jazbaat say khayl kar apni siyasi dukannain chamkanain ki to poori koshish ki laykin aaj jab kayh tabah hal Iraqi awam ko madad ki zarurat hay yeh loog gharoon main bayth gaye hain. Kiya in ki hamdardiyan sirf naray bazi kay liye theen. Kaheen aisa to naheen kayh Iraqi awam ki tabhi say ziyadah unhain apni siyasat ki nakami ka sadma ho. Main is baat ka faysla Pakistan kay awam par chorta hoon kayh saddam kay naam par jo hullar bazi yahaan ki gayee uus main khaloos kitna tha aur siyasat kitni thee. Jahan tak mera aur hakoomat-e-Pakistan ka talluq hay hamaray diloon main apnay Iraqi bhaiyoon kayliye aaj bhee wohi dard hay. Ham nay apna har lamha is kishish main guzarah kayh is jang ko jaysay bhee mumkin ho band karayain. Jang kay ruktay hi ham nay apnay tammam dostoon kay saath rabtay qaim kar kay tabah shudah Iraqi awam ki fauri maddad par zor diya hay. Aziz Hamwatno | Sard jang kay baad ki yeh nai dunya jis nay Aqwam-e-muthiddah kay zarriye Kuwait ki azadi bahal kar kay aik nai daur ka aghaz kiya hay uus waqat tak puraman naheen rah sakti jab tak Kashmir aur Falasteen kay masail hal naheen ho gay. Waqat agaya hay kayh pancho veto powers aur deegar bari taqatoon nay Aqwam-e-muthidda ki Qarrardaddoon par amal daramad kay liye jis taawaun aur tez raftari ka muzahira kiya hay Kashmir aur Falasteen kay liye bhee wohee tarreqah ikhtiyaar kiya jaye. Warna alami aman ka jo khawab dekha ja raha hay wo poora naheen ho sakay ga. Aziz Hamwatno | Main nay guzashta dinoon Pakistan kay azeem azmodah aur sachay dost cheen ka bhee daura kiya. Mukhtalif alaqai aur almi amoor par Pakistan aur cheen ki soochayn hamayshah ki tarah aaj bhee barri had tak apas main miltee hain. Cheen bhee khaleej main bayrroni afwaj kay qayyam ka mukhalif hay. Wo bhee is khitay ki khudmukhtari aur azadi par mabni salamti kay nizam ka hami hay. Cheeni rahnamaoon nay muzakraat kay dauraan mayray aur Pakistani awam kay liye jin purkhaloos jazboon aur khawahishoon ka izhar kiya uun par main tahay dil say uun ka shukar guzar hoon. Cheen nay Pakistan main atami plant ki tanseeb par amadgi zahir kar kay hamaray uus programme ko agay bharranay main intahayee qabal-e-qadar taawwun kiya hay jis kay tayhat hum apnay mulk ko sannat aur technology kay maydan main agay ja na chahtay hain. AAj kay daur main technology, sannat hattah kayh zarrat main uus waqat tak taraqi karna mumkin naheen jab tak kayh tawanai wafar miqdar main dastyab na ho. meyree bunyadi tarjih pakistan main bijlee ki paydawar main azafa karna hay. Is kay liye hakumat nay faysala kiya hay kayh lambi mansooba-bandiyoon ka raasta choor kar fauri nataij hasal karnay waley mansooboon par amal kiya jaye. Aur jis qadar jald mumkan ho mulk main bijlee ki kami poori ki jaye. Sarkoon ki taamir aur kushadgi ka kaam bhee iqalabi tez raftari kay saath kiya jaye ga. Telephone ki farahmgi ki ishallah aglay saal kay dauran koi masala naheen rahay gee. Main sannat aur zarrat ki taraqi kay liye jo mazboot bunyadain qaim kar raha hoon uun sab ka maqsad ghareeb admi ki falah-o-bahbood hay. Main taraqi kay samraat ko aik tabkay tak mahdood rakhnay kay khilaaf hoon. Paydawar main azafay kay saath saath main is baat par bhee poori tawjha doon ga kayh uus kay fwaid ghareeb admi tak pauhchain. Meray har mansoobay aur har amal ka maqsad Pakistan kay khoobsorat chehray say ghareebay kay daagh mitana hain. Ham kam aur mayhnat par yaqeen rakhtay hain. Guzashta char mah kay qaleel arsa main meri hakoomat nay na sirf qanoon sazi main aik rekard kaim kiya hay balkah itni door-ras iqtisadi islahat ki hain jin ka tasawar bhee is say pahlay naheen kiya ja sakta tha. Is liye ham siyasat ko mahaz khidmat ka zirriya samajhtay hain. AAp ki qaumi assembly nay sirf majoodah session main 8 bill pass kiye hain. Jab kayh sabka assembly nay 1989 kay pooray saal main sirf 7 bill pass kiye thay. Main is mauqah par apni iqtisadi islahaat ki tafseel duhrana naheen chahta laykin in kay aik ayham siyasi pahloo ki taraf zaroor apki tawajoh dilana chahta hoon. Aur wo yeh hay kayh mayeeshat ko azad kranay ka sab say bara faida khud jamhooriyat ko pauhcha. Kiyukah mali wasail ko qaumiyanay ka badtareen pahloo yah hay kah hakoomat-e-waqat poori qaum ko apnay siyasi maqasad aur mufadat kay tabay bana sakti hay. Guzashta daur ki tarrikh is ki gawah hay. Ham nay daykha kayh kis tarah bankoon main jama awam ki raqoom ko zati jageer samajh kar siyasi mufad prasti kay liye chand manzoor-e-nazar afrad ko baydaraigh qarzoon ki soorat main taqseem kiya gaya aur kis tarah uun raqoom ki maddad say siyasi rishwat ka kam liya gaya aur pooray jamhoori amal ki tazheek ki gayee. Maeeshat azad honay say siyssat bhee azad ho gee aur awam ki rai sahih maanoon main nizam-e-hakoomat par asar andaz ho gee. Isee ka nam jamhooriyat hay. Yhan main denationalisation kay baray main kuch batain bhee araz karoon ga. Baaz makhsoos mufadaat kay hamil anasir is policy kay khilaaf muhim chalaa rahay hain. Asal baat yah hay kayh aap kay taxoon ki raqmain kha kar uunhain aish-o-aram ki jo adat par gai hay wo usay chorna naheen chahtay. Aur main aap kay aik aiak paisay ko aap ki amaanat tasawwar karta hoon. Inshallah main aap kay khoon paseenay ki kamai in looogoon ki jayboon main naheen janay doon ga. Mayra apnay awam par aitmad hay aur awam ko mujh par bharoosah hay. Hamaray bahmi aitmad ka aik muzahirrah Khaleej ki jang kay dauraan dunya nay daykh liya hay. Pakistan kay awam siyasi mufadaat uthanay waloon kay farayb may naheen ay. Aj yah baat sabit ho gayi kayh awam aur uun ki muntakhib hukmet nay usooloon ki bina par jo policy ikhtiyar ki wo hi drust aur haqeeqat pasandana thee. Denationalisation kay maamilay main inshallah waqat anay par yah sabit hoga kayh hamari yah policy bhee Pakistan aur yahan kay ghareeb awam kay mufad main hay. Hukumat is policy par amal daramad kay silsalay main kisi lachak ka muzahira naheen karay gee. Hukumat aur ikhtiyaraat kay shauq main mazi kay arbab-e-iqtidar nay har muamilay may hakumat ko dakheel kar diya tha. Hakoomatain Faktarian chalanay, tajarat karnay, bank aur insurance kampaniyan chalanay, akhbaraat shaya karnay, jahaz uranay aur hotel chalanay kay liye naheen hooteen. UUn ka kam taraqiyati mansoobay banana aur awam ko amn-o-amaan fraham karna hota hay.Insaf fraham karna hota hay. Guzashta kai hakoomatoon nay baqi sab kuch kiya sirf yah teen kam naheen kiye. Main har shubay main dakheel hathoon ko samayt kar aik azad faza qaim kanay ki koshish kar raha hoon. Mayray nazdeek kam az kam hakumat hi yani kam say kam hakumat hi aik achee hakumat hoti hay. Ham hakumat ko maeeshat aur shahriyoon par ikhtiyaraat chalanay ki bajai taraqi aur tahafuz ki farhmi ka zumadar samajhtay hain. Sanaatoon ki denationalisation bhee hamari isee policy ka hissa hay. Haqqeqat main ham najaiz qabzay choor rahay hain. Sarkari sanaatoon ki tarah sarkari zameenoon par aam adami ka haq hay. Lihaza denationalisation kay saath saath ham nay faysala kiya hay kayh tayz raftari kay saath qabl-e-kasht sarkari zameenain bhee bay zameen kisanoon main taqseem kar dee jayin. Is silsilay main bhee bauhat jald kam shroo honay wala hay. Sindh kay bay-zameen hariyoon main zameen ki taqseem shroo kar di gayee hay. Aziz Hamwatno | Guzashta roz senate main khali honay wali 46 nashistoon kay intikhabat main IJI aur hamaray ittihaadiyoon ko shandar kamyabi hasil hoyee aur senate main hamari do tihai aksriyat barqrar rahee. In intikhabaat kay baray main tarah tarah ki ghalat fahmiyan payda karnay ki koshish ki gayee. Laykin aap nay daykha kayh saray khadshay bay bunyad niklay. Aur tammam muntakhib arakeen nay azadi kay saath apna haq-e-rai dahi istamal kiya. Agar hamain apnay jamhoori nizam ko mustahkam karna hay to hamain jamhoori rwayaat ka ihtiram karna ho ga. Hamain apna yeh tabah kun mashghala chorna parray ga kayh ksi bhee nai hukumat kay qaim hotay hee uus kay khilaf sazishain shroo kar dee jain. Aap ko sochna paray ga kay akhir ham kis qism ki hukumat chahtay hain.qaum nay taweel arsay tak jido-jihd karnay kay baad aik manzal hasil ki. Mulk main pehli bar awam ki azadana taur par muntakhib hukumat ko puramn andaz main intiqal-e-iqtidar huwa. Aur uus nay doono aiwanoon main faysl kun aksriyat kay saath apnay daur-e-iqtidar ka aghaz kiya. Ham nay apnay ibtidai sau dinoon main Allah kay fazlo karam say har shubay main muassar iqdamat shroo kiye. Jin main say kuch kay nataij bhee samnay aa rahay hain. Awam kay muntakhib numaindoon nay senate kay haliya intikhabat main hamaray umeedwaroon ko kamyabi say hamkinar kar kay hamari paleesiyoon ki bhar poor taid bhee kar dee. Doosri tarf awam nay bhee hmari is mukhtasar karkardgi par itminan ka izhar kiya. Aik taweel arsay kay baad ghareeb ki ankhoon main umeed ki chamak nazar anay lagee hay. Uun kay diloon main aik khushgawar mustaqbil ki umeed paida hoyee hay. Kitnay dukh ki baat hay kayh hamaray baaz siyasat danoon say ahl-e-watan ki yeh choti si khooshi bhee bardasht naheen ho rahi. Aur wo ghalat fahmiyan phela kar jamhoori nizam kay baray main na umeediyan payda karnay ki koshish kar rahay hain. Aur doosri tarf afwah sazi kay karo-bar ko froogh day kar logoon ko aik bar phir parayshani main mubtila karna chahtay hain. Kiya awam ko prayshaniyoon main mubtila karna hi uun ki khooshi hay. Sitim zareefy mulahaza ho kayh hamaray qaumi press ka aik hissa jissay jamhooriyat kay alambardar honay ka dawa hay awami khushiyoon ko pamal karnay walay anaasir ka asaani kay saath alai-e-kar ban jata hay. Jamhooriyat main siyasi qiyadat hi naheen Sahafat bhee trial par hoti hay. Agar shafat ka matlab awam ko sahih itlaat bahm pauhchana hayaur afwahoon, mangarhat khabroon aur gumrahkun taqreeroon say uun kay zihnoon ko praganda karna hay to phir main apnay in sahafi dostoon par hi chorta hoon. Mayray aziz hamwatno | Ramzan-ul-mubarak ki amad par main aik bar phir qaum ko mubarak bad paysh karta hoon aur dua karta hoon kayh barkatoon ka yeh mahina Pakistan, Alam-e-Islam aur poori dunya kay liye amn, mussaratoon aur khush-hali ka ba-is banay. Mari khuahish to yeh thee kayh Pakistani awam ko rozoon kay silsilay main ziyadah say ziyadah sahooltain fraham karoon laykin aap jantay hain kayh aap ki hukumat kitni shadeed muashee mushkilaat say dochaar hay. Khaleej kay buhraan ki wajah say hamari maeeshat par zabar dast dabao hay. Taham mayri hakumat nay faysla kiya hay kayh is mubarak maheenay kay daura dauran tammam Utility Stores main raeeti qeemat par frookht honay wali chand zarrori ashya par mazeed das (10%) fee sud rayet dee jaye. In ashya main Ata, Chawal, Dalain, baisan aur mashrobat shamil hain. Yeh bhee faysla kiya gya hay kay mustahikken zakat ko mahana 150 ropay fee kas kay hasab say jo mamool ki imdaad milty hay uus kay alawa unhain ramzan-ul-mubarak main mazeed sau (100) ropay fee kas ki khasoosi imdaad di jaye gee jis par majmoee taur par taqriban pandrha karor ropay khrach hoon gay. Hamara aap say yah waada tha kayh joonhi mumkin huwa tail ki qimatoon main qami ki jaye gi. Haqiqat to yeh hay kayh Khaleej ki jang kay khatmain kay baad bhee abhee tak Pakistan ko tail ki qeemat main koi khas raayet hasil naheen hoi laykin is kay bawajood aap ka bhoj kam karnay ki khatar ham nay faysla kiya hay kay tail ki qimatoon may kami kar di jaye. Is ki tafsil Petroleum aur qudrati wasail kay wazir meri is taqrir kay fauran bbad air press kanfrans main paysh kar rahay hain. Mah-e-ramzan kay mauqa par main apnay tajir aur karobari bhaiyoon say apeal karta hoon kayh wo ihtram-e-ramzan aur Allah ki khoshnoodi kay liye apnay munafa main do fee sad (2%) kami ka ilan kar kay awam ki duayain hasil karain aur mujhay bhee manoon karain. Kitna acha ho agar mlawat kay ganday karobar mai n malawas chand afrad yakam ramzan say yeh ayhad kar lain kayh apnay bachoon ko rizq-e-haram say bachanay kay liye wo ainda khalis ashya frokht krain gay aut mlawat ki lanat ko hamaysha kay liye khatm kar day gay. Mayray aziz hamwatno | Main aap say bhee darkhwast karta hoon kayh qabooliyat kay is mubarak maheenay main Pakistan ki taraqi, istahkam aur khush-hali aur dunya bhar main musalman bhaiyoon kay ittehad aur uun ki azadi khas taur par Kashmir kay musalmanoon ki azadi kay liye khaloos-e-dil say duayain mangain. Ayye barkatoon kay is pakeeza maheenay ko apni kooshishoon aur duaoon say millat-e-islamiya kay ittehad aur khush-hali ka zariya banayain. Pakistan Paindabad. -- ----------------------------------------------------------------------------- Edited by Surekha Reddy Gaddam. Please send your news articles relevant to S.Asia to gaddam@remus.rutgers.edu. Other than news will not be posted. -----------------------------------------------------------------------------