[soc.culture.pakistan] Pakistan: PM's addressing to nation

mughal@citiago.bitnet (Asim Mughal) (03/21/91)

Following is the complete text of Prime Minister's address to Naiton

on Sunday 17 march 1991 over radio and TV at 1915 PST. I am not a

prfessional translator, therefore text is reproduced as it is in Urdu.



(BTW Ramazan 1411H  moon was sighted the same evening in Pakistan.)

====================================================================



Bismiallahirrahmannirahim



Mayray Aziz Humwatno |



Assalamoalikum |



Ramazan-ul-Mubarak ka muqaddas mahina apko mubarak ho. Guzashta chand

haftoon kay dauraan Iraq aur Kuawait kay Muslman Bhaiyoon par jo qiyamat

guzree, uus par hum sab kay dil khoon kay ansoon ro rahay hain. Mera dukh

to aur bhee ziyada hay. Main nay akhri lamhay tak yeh jidojayhad ki kayh

baygunah Musalman aag aur barood ki lapayt main na ayain. Mayri poori

koshish thee kayh jo kuch bhee tabah kari say mahfuz rah gaya hay, uus

ko barbadi say bacha liya jaye. Mujhay barray dukh kay saath kahna

parta hay kah ham tabahi ko intaha tak janay say naheen rok sakay.

Tabahi sirf Iraq aur Kuwait kay musalmannon par hi naheen ayi balkay

jo sanayha uun par guzra hay is kay nataij sari dunya kay musalmanoon ko

bhogtana parain gay. Meri nazar main Khaleej ki jang ka sab say bara

nuqsaan milet-e-islamiya kay ittehad ko puhcha hay. Is say bara almiyah

aur kiya ho sakta hay kayh aik musalman doosray musalman kay liye azar

ka ziriya banay. Umat-e-musalmah kay ittehad aur bahmi akhuwat par

jo kari zarbain lag chukee hain uun kay zakham bharnay ki radeed,

ab hum sab ka awleen farz hay. Zarurat is bat ki hay kayh jald say

jald apas ki nafratain aur kadoortain door ki jain. Kiyun kayh bil-akhar

bhai hi bhaiyoon kay kaam atay hain. Main apnay mission kay dauran

baad-az-jang paysh anay walay Halaat kay baray main bhee tabadlaye khayal

karta raha hoon. Magar yaqeen karain kayh hum itni barri tabbahi kay

liye tayyar naheen thay. Kuwait aur Iraq ka yeh nuqsaan islami dunya

ka nuqsaan hay. is say pahlay Iran ka nuqsaan bhee Islami dunya ka hi

nuqsaan tha. Kash ab  bhi musalmanoon ko hosh ajay aur hum apnay islami

rishtoon ki bunyaad par koyi ijtamayi idara qaim karnay main kamyab ho jayain.





Aziz Humwatno |



Hum Fahm-o-frasat, tadabur aur islami iqdar ki taqat kay zariyeh hi

apnay kirdar ko moassar bana saktay hain. Khaleej ki jang kay dauran

hum nay is ka amli muzahira bhee kiya hay. Main apnay qablay-ihtram

siyasatdan bazurgoon aur bhaiyoon say guzarish karoon ga kayh wo is

naye almi kirdar ko samjhnay ki koshish karain. Hamaray in muhtaram

sayasatdanoon nay awam kay jazbaat say khayl kar apni siyasi dukannain

chamkanain ki to poori koshish ki laykin aaj jab kayh tabah hal Iraqi

awam ko madad ki zarurat hay yeh loog gharoon main bayth gaye hain.

Kiya in ki hamdardiyan sirf naray bazi kay liye theen. Kaheen aisa

to naheen  kayh Iraqi awam ki tabhi say ziyadah unhain apni siyasat

ki nakami ka sadma ho. Main is baat ka faysla Pakistan kay awam par

chorta hoon kayh saddam kay naam par jo hullar bazi yahaan ki gayee

uus main khaloos kitna tha aur siyasat kitni thee. Jahan tak mera

aur hakoomat-e-Pakistan ka talluq hay hamaray diloon main apnay

Iraqi bhaiyoon kayliye aaj bhee wohi dard hay. Ham nay apna har lamha

is kishish main guzarah kayh is jang ko jaysay bhee mumkin ho band

karayain. Jang kay ruktay hi ham nay apnay tammam dostoon kay saath

rabtay qaim kar kay tabah shudah Iraqi awam ki fauri maddad par zor

diya hay.



Aziz Hamwatno |



Sard jang kay baad ki yeh nai dunya jis nay Aqwam-e-muthiddah kay

zarriye Kuwait ki azadi bahal kar kay aik nai daur ka aghaz kiya

hay uus waqat tak puraman naheen rah sakti jab tak Kashmir aur

Falasteen kay masail hal naheen ho gay. Waqat agaya hay kayh pancho

veto powers aur deegar bari taqatoon nay Aqwam-e-muthidda ki

Qarrardaddoon par amal daramad kay liye jis taawaun aur tez raftari

ka muzahira kiya hay Kashmir aur Falasteen kay liye bhee wohee tarreqah

ikhtiyaar kiya jaye. Warna alami aman ka jo khawab dekha ja raha

hay wo poora naheen ho sakay ga.



Aziz Hamwatno |



Main nay guzashta dinoon Pakistan kay azeem azmodah aur sachay dost

cheen ka bhee daura kiya. Mukhtalif alaqai aur almi amoor par

Pakistan aur cheen ki soochayn hamayshah ki tarah aaj bhee barri had

tak apas main miltee hain. Cheen bhee khaleej main bayrroni afwaj kay

qayyam ka mukhalif hay. Wo bhee is khitay ki khudmukhtari aur azadi

par mabni salamti kay nizam ka hami hay. Cheeni rahnamaoon nay muzakraat

kay dauraan mayray aur Pakistani awam kay liye jin purkhaloos jazboon

aur khawahishoon ka izhar kiya uun par main tahay dil say uun ka shukar

guzar hoon. Cheen nay Pakistan main atami plant ki tanseeb par amadgi

zahir kar kay hamaray uus programme ko agay bharranay main intahayee

qabal-e-qadar taawwun kiya hay jis kay tayhat hum apnay mulk ko sannat aur

technology kay maydan main agay ja na chahtay hain. AAj kay daur main

technology, sannat hattah kayh zarrat main uus waqat tak taraqi karna

mumkin naheen jab tak kayh tawanai wafar miqdar main dastyab na ho. meyree

bunyadi tarjih pakistan main bijlee ki paydawar main azafa karna hay.

Is kay liye hakumat nay faysala kiya hay kayh lambi mansooba-bandiyoon

ka raasta choor kar  fauri nataij hasal karnay waley mansooboon par amal

kiya jaye. Aur jis qadar jald mumkan ho mulk main bijlee ki kami poori

ki jaye. Sarkoon ki taamir aur kushadgi ka kaam bhee iqalabi tez raftari

kay saath kiya jaye ga. Telephone ki farahmgi ki ishallah aglay saal kay

dauran koi masala naheen rahay gee. Main sannat aur zarrat ki taraqi

kay liye jo mazboot bunyadain qaim kar raha hoon uun sab ka maqsad ghareeb

admi ki falah-o-bahbood hay. Main taraqi kay samraat ko aik tabkay tak mahdood

rakhnay kay khilaaf hoon. Paydawar main azafay kay saath saath main is baat par

bhee poori tawjha doon ga kayh uus kay fwaid ghareeb admi tak pauhchain.

Meray har mansoobay aur har amal ka maqsad Pakistan kay khoobsorat

chehray say ghareebay kay daagh mitana hain. Ham kam aur mayhnat par

yaqeen rakhtay hain. Guzashta char mah kay qaleel arsa main meri hakoomat

nay na sirf qanoon sazi main aik rekard kaim kiya hay balkah itni

door-ras iqtisadi islahat ki hain jin ka tasawar bhee is say pahlay

naheen kiya ja sakta tha. Is liye ham siyasat ko mahaz khidmat ka zirriya

samajhtay hain. AAp ki qaumi assembly nay sirf majoodah session main 8

bill pass kiye hain. Jab kayh sabka assembly nay 1989 kay pooray saal

main sirf 7 bill pass kiye thay. Main is mauqah par apni iqtisadi

islahaat ki tafseel duhrana naheen chahta laykin in kay aik ayham siyasi

pahloo ki taraf zaroor apki tawajoh dilana chahta hoon. Aur wo yeh hay kayh

mayeeshat ko azad kranay ka sab say bara faida khud jamhooriyat ko

pauhcha. Kiyukah mali wasail ko qaumiyanay ka badtareen pahloo yah hay

kah hakoomat-e-waqat poori qaum ko apnay siyasi maqasad aur mufadat kay tabay

bana sakti hay. Guzashta daur ki tarrikh is ki gawah hay. Ham nay daykha

kayh kis tarah bankoon main jama awam ki raqoom ko zati jageer samajh kar

siyasi mufad prasti kay liye chand manzoor-e-nazar afrad ko baydaraigh

qarzoon ki soorat main taqseem kiya gaya aur kis tarah uun raqoom ki

maddad say siyasi rishwat ka kam liya gaya aur pooray jamhoori amal

ki tazheek ki gayee. Maeeshat azad honay say siyssat bhee azad ho gee aur

awam ki rai sahih maanoon main nizam-e-hakoomat par asar andaz ho gee.

Isee ka nam jamhooriyat hay. Yhan main denationalisation kay baray main

kuch batain bhee araz karoon ga. Baaz makhsoos mufadaat kay hamil anasir

is policy kay khilaaf muhim chalaa rahay hain. Asal baat yah hay kayh

aap kay taxoon ki raqmain kha kar uunhain aish-o-aram ki jo adat

par gai hay wo usay chorna naheen chahtay. Aur main aap kay aik aiak paisay ko

aap ki amaanat tasawwar karta hoon. Inshallah main aap kay khoon

paseenay ki kamai in looogoon ki jayboon main naheen janay doon ga.

Mayra apnay awam par aitmad hay aur awam ko mujh par bharoosah hay.

Hamaray bahmi aitmad ka aik muzahirrah Khaleej ki jang kay dauraan

dunya nay daykh liya hay. Pakistan kay awam siyasi mufadaat uthanay

waloon kay farayb may naheen ay. Aj yah baat sabit ho gayi kayh awam

aur uun ki muntakhib hukmet nay usooloon ki bina par jo policy

ikhtiyar ki wo hi drust aur haqeeqat pasandana thee. Denationalisation

kay maamilay main inshallah waqat anay par yah sabit hoga kayh hamari

yah policy bhee Pakistan aur yahan kay ghareeb awam kay mufad main

hay. Hukumat is policy par amal daramad kay silsalay main kisi

lachak ka muzahira naheen karay gee. Hukumat aur ikhtiyaraat kay shauq

main mazi kay arbab-e-iqtidar nay har muamilay may hakumat ko dakheel

kar diya tha. Hakoomatain Faktarian chalanay, tajarat karnay, bank

aur insurance kampaniyan chalanay, akhbaraat shaya karnay, jahaz

uranay aur hotel chalanay kay liye naheen hooteen. UUn ka kam  taraqiyati

mansoobay banana aur awam ko amn-o-amaan fraham karna hota hay.Insaf

fraham karna hota hay. Guzashta kai hakoomatoon nay baqi

sab kuch kiya sirf yah teen kam naheen kiye. Main har shubay main

dakheel hathoon ko samayt kar aik azad faza qaim kanay ki koshish

kar raha hoon. Mayray nazdeek kam az kam hakumat hi yani kam say

kam hakumat hi aik achee hakumat hoti hay. Ham hakumat ko maeeshat

aur shahriyoon par ikhtiyaraat chalanay ki bajai taraqi aur tahafuz

ki farhmi ka zumadar samajhtay hain. Sanaatoon ki denationalisation

bhee hamari isee policy ka hissa hay. Haqqeqat main ham najaiz qabzay

choor rahay hain. Sarkari sanaatoon ki tarah sarkari zameenoon par

aam adami ka haq hay. Lihaza denationalisation kay saath saath ham nay

faysala kiya hay kayh tayz raftari kay saath qabl-e-kasht sarkari

zameenain bhee bay zameen kisanoon main taqseem kar dee jayin. Is silsilay

main bhee bauhat jald kam shroo honay wala hay. Sindh kay bay-zameen

hariyoon main zameen ki taqseem shroo kar di gayee hay.



Aziz Hamwatno |



Guzashta roz senate main khali honay wali 46 nashistoon kay intikhabat

main IJI aur hamaray ittihaadiyoon ko shandar kamyabi hasil hoyee aur

senate main hamari do tihai aksriyat barqrar rahee. In intikhabaat kay

baray main tarah tarah ki ghalat fahmiyan payda karnay ki koshish ki gayee.

Laykin aap nay daykha kayh saray khadshay bay bunyad niklay. Aur tammam

muntakhib arakeen nay azadi kay saath apna haq-e-rai dahi istamal kiya.

Agar hamain apnay jamhoori nizam ko mustahkam karna hay to hamain jamhoori

rwayaat ka ihtiram karna ho ga. Hamain apna yeh tabah kun mashghala

chorna parray ga kayh ksi bhee nai hukumat kay qaim hotay hee uus kay khilaf

sazishain shroo kar dee jain. Aap ko sochna paray ga kay akhir ham kis qism

ki hukumat chahtay hain.qaum nay taweel arsay tak jido-jihd karnay kay baad

aik manzal hasil ki. Mulk main pehli bar awam ki azadana taur par

muntakhib hukumat ko puramn andaz main intiqal-e-iqtidar huwa. Aur uus

nay doono aiwanoon main faysl kun aksriyat kay saath apnay daur-e-iqtidar

ka aghaz kiya. Ham nay apnay ibtidai sau dinoon main Allah kay

fazlo karam say har shubay main muassar iqdamat shroo kiye. Jin main say

kuch kay nataij bhee samnay aa rahay hain. Awam kay muntakhib numaindoon

nay senate kay haliya intikhabat main hamaray umeedwaroon ko kamyabi say

hamkinar kar kay hamari paleesiyoon ki bhar poor taid bhee kar dee. Doosri

tarf awam nay bhee hmari is mukhtasar karkardgi par itminan ka izhar kiya.

Aik taweel arsay kay baad ghareeb ki ankhoon main umeed ki chamak nazar anay

lagee hay. Uun kay diloon main aik khushgawar mustaqbil ki umeed paida

hoyee hay. Kitnay dukh ki baat hay kayh hamaray baaz siyasat danoon say

ahl-e-watan ki yeh choti si khooshi bhee bardasht naheen ho rahi. Aur wo

ghalat fahmiyan phela kar jamhoori nizam kay baray main na umeediyan

payda karnay ki koshish kar rahay hain. Aur doosri tarf afwah sazi kay

karo-bar ko froogh day kar logoon ko aik bar phir parayshani main

mubtila karna chahtay hain. Kiya awam ko prayshaniyoon main mubtila karna

hi uun ki khooshi hay. Sitim zareefy mulahaza ho kayh hamaray qaumi press

ka aik hissa jissay jamhooriyat kay alambardar honay ka dawa hay awami

khushiyoon ko pamal karnay walay anaasir ka asaani kay saath alai-e-kar

ban jata hay. Jamhooriyat main siyasi qiyadat hi naheen Sahafat bhee

trial par hoti hay. Agar shafat ka matlab awam ko sahih itlaat bahm pauhchana

hayaur afwahoon, mangarhat khabroon  aur gumrahkun taqreeroon say

uun kay zihnoon ko praganda karna hay to phir main apnay in sahafi

dostoon par hi chorta hoon.



Mayray aziz hamwatno |



Ramzan-ul-mubarak ki amad par main aik bar phir qaum ko mubarak bad

paysh karta hoon aur dua karta hoon kayh barkatoon ka yeh mahina Pakistan,

Alam-e-Islam aur poori dunya kay liye amn, mussaratoon aur khush-hali ka

ba-is banay. Mari khuahish to yeh thee  kayh Pakistani awam ko rozoon kay

silsilay main ziyadah say ziyadah sahooltain fraham karoon laykin aap

jantay hain kayh aap ki hukumat kitni shadeed muashee mushkilaat say dochaar

hay. Khaleej kay buhraan ki wajah say hamari maeeshat par zabar dast dabao

hay. Taham mayri hakumat nay faysla kiya hay kayh is mubarak maheenay kay daura

dauran tammam Utility Stores main raeeti qeemat par frookht honay wali chand

zarrori ashya par mazeed das (10%) fee sud rayet dee jaye. In ashya main Ata,

Chawal, Dalain, baisan aur mashrobat shamil hain. Yeh bhee faysla kiya gya

hay kay mustahikken zakat ko mahana 150 ropay fee kas kay hasab say jo

mamool ki imdaad milty hay uus kay alawa unhain ramzan-ul-mubarak main

mazeed sau (100) ropay fee kas ki khasoosi imdaad di jaye gee jis par

majmoee taur par taqriban pandrha karor ropay khrach hoon gay. Hamara aap

say yah waada tha kayh joonhi mumkin huwa tail ki qimatoon main qami

ki jaye gi. Haqiqat to yeh hay kayh Khaleej ki jang kay khatmain kay

baad bhee abhee tak Pakistan ko tail ki qeemat main koi khas raayet

hasil naheen hoi laykin is kay bawajood aap ka bhoj kam karnay ki khatar

ham nay faysla kiya hay kay tail ki qimatoon may kami kar di jaye. Is ki

tafsil Petroleum aur qudrati wasail kay wazir meri is taqrir kay fauran

bbad air press kanfrans main paysh kar rahay hain. Mah-e-ramzan kay

mauqa par main apnay tajir aur karobari bhaiyoon say apeal karta hoon

kayh  wo ihtram-e-ramzan aur Allah ki khoshnoodi  kay liye apnay munafa

main do fee sad (2%) kami ka ilan kar kay awam ki duayain hasil karain

aur mujhay bhee manoon karain. Kitna acha ho agar mlawat kay ganday karobar mai

n malawas chand afrad yakam ramzan say yeh ayhad kar lain kayh apnay bachoon ko

rizq-e-haram say bachanay kay liye wo ainda khalis ashya frokht krain gay

aut mlawat ki lanat ko hamaysha kay liye khatm kar day gay.



Mayray aziz hamwatno |



Main aap say bhee darkhwast karta hoon kayh qabooliyat kay is mubarak

maheenay main Pakistan ki taraqi, istahkam aur khush-hali aur dunya bhar

main musalman bhaiyoon kay ittehad aur uun ki azadi khas taur par Kashmir

kay musalmanoon ki azadi kay liye khaloos-e-dil say duayain mangain. Ayye

barkatoon kay is pakeeza maheenay ko apni kooshishoon aur duaoon say

millat-e-islamiya kay ittehad aur khush-hali ka zariya banayain.



Pakistan Paindabad.
-- 

-----------------------------------------------------------------------------

Edited by Surekha Reddy Gaddam. Please send your news articles relevant
to S.Asia to gaddam@remus.rutgers.edu.  Other than news will not be posted.

-----------------------------------------------------------------------------